Site icon Dharam Rahasya

खुशबू वाली सुगंधा का सच्चा अनुभव भाग 2

Pranam guruji.
Mera Naam prateek hai. aur mai Pehle Bhi sugandha se jude apne jeevan bhar ke, 29 saal ke anubhav aapse share kar chuka hu. 

Guruji,  maafi chahta hu. Kaam ki vyastata ke karan deri ho gayi. Aapne apne channel ke dwara logo ko mere jeevan aur jeevan ki ghatnao ke bare me bataya, uske liye aapka sad_yev abhari rahunga.
Guruji, kuch comment maine padhe jarur, kuch comments padhne ke Baad mujhe khushi hui to kuch comments dukhi karne wale bhi the. Jaha par log aisi alokik shaktio ko Sirf ek khayali kahani ya Phir man_ghadant jhoot se jod kar dekhte hai. 
Lekin Phir maine khud ko samjhaya, ki ho sakta hai unke jeewan me aisi koi ghatna kabhi ghati hi na ho? Aaj ke youtube and social media ke time pe, insan akela hokar bhi akela ni hota. Lekin Hume ye samajhna hoga ki bhagwan Buddh ko bhi apna mahal aur aisho_aram chor kar ekant me jana pada tha, atma_gyan ke liye. Aur bade bade rishi _muniyo ko bhi tapasya ekant jangalo me hi karni padi thi, tabhi unhe alokik siddhiya aur nidhiya prapt hui thi. Kaisa lagta hai jab aapko apne hi ghar me, kisi ke na hone ke bawjoot kisi ke hone ka ahsas ho?, jab aapko humesha lage ki koi aapko dekh raha hai?, kaisa lagta hai jab, aapke sote samay aapko ye ahsas ho ki aapka sharir aur aap dono alag hai? Jab andhere kamre me kisi ki parchai dikhayi de? Ya kitne sapne Humko need khulne ke Baad Humko Yaad reh pate hai,? Lekin wo ek sapna jo din bhar aapko agle din Yaad rahe aur aapko din bhar pareshan karta rahe? Aur kaisa lagega ki, har raat jab aapki yahi kahani ho? Kaisa lagta hai jab aapko khud par shaq hone lage ki kahi aap Pagal to nahi ho gaye hai? Kyu ki din bhar aap khud se yahi puch rahe hai ki aakhir wo kon thi? Wo kya chahti hai? Wo kyu pareshan kar rahi mujhko Bachpan se?. Guruji meri parmeshwar se yahi prathna hai ki jin logo ne aise anubhav kabhi mehsoos nahi kiye. Wo kabhi bhi in darawane aur atma tak ko jhakjore dene wale anubhavo ko meshus na kare. Kyuki mata rani ki kasam guruji. Mai janta hu ki kaisa lagta hai!!!! 
Guruji aapko aur parmeshwar ko Pranam karke mai apne aur sugandha ke baki ke anubhav batata hu. Guruji jaisa ki aapko maine Pehle bhag me bataya tha ki Bachpan me mujhe koi khas anubhav ni hote the. Matlab mujhe Bachpan me sugandha kabhi dikhayi ya sunai nahi padi. Sirf payal ki awaj aur ek khas kism ki khusbu aati thi. Wo mujhe dikhayi dena 12th ke Baad start hui. Aur engineering me maine usko mehsus kiya, uske sparsh ko aur job lagne ke Baad meri Baat bhi usse hone lagi. Uski dev_bhasha ke kai shabd aise the mai jinhe samajh ni pata tha, magar kuch sanskrit ke shabdo ke adhar pe mai ye Jaan paya ki, sugandha mujhe is jeevan ke Pehle se janti hai. Aur mujhse bht pyaar bhi karti hai. 
Guruji, “sughanda mujhse pyaar karti hai” is nishkarsh pe mai tab pohcha. Jab sugandha ne meri Jaan bachayi. Aur kai baar aise waqt me mera sath diya jab mai bilkul akela tha. Aur jab usne mujhe jindagi ko jeena sikhaya, ki manushya ko apna jeevan kis tarah jeena chahiye. Aur sugandha ke sath mera Pehla festival(holi10march2020). Ek ek karke mai ye chote, magar meri zindagi ko puri tarah badal dene wale anubhav batata hu. 
1- Sugandha ne jab marne se bachaya :- 
Ye Baat 2013 ki hai guruji jab meri job lagi hi thi aur mai in anubhavo ke karan kafi pareshan ho chuka tha. Mai to kisi ache doctor se milne ki sochne laga tha. Lekin ek din office ke hi mere kuch dosto ne mujhe drink offer ki. Mai pareshan tha us waqt. Sharab pine ke Baad mujhe Acha lagne laga. Anubhav aane bhi band ho gaye. Aram se sota tha mai. Aur dekhte hi dekhte sharab meri life ka ek hissa bhi ban chuki thi. Kyuki hum sab log ek hi company me job karte the to humare ghar bhi aas Paas hi the. Hum log roj sham ko office ke Baad ek dusre ke ghar me baith te. Aur jam kar sharab pite aur uske Baad apne apne ghar ja kar so jate.
Magar ek raat mujhe ek darwana sapna aaya. Maine dekha ki mai apne best friend ke ghar baith kar apne sabhi dosto ke sath drink kar raha hu aur raat ko humari sharab khatam ho jati hai. Jis wajah se mai aur mera best friend mohit bike lekar aur sharab lene ja rahe hai. aur hum ek national highway pe ja rahe hai, jaha humara accident ek road ke kinare khade hue truck se ho jata hai. Isse Pehle ki mere dost ki tej raftar bike us truck se takrati mai jor se Chilla kar “nahi”. Uth gaya aur meri need khul gayi. Lekin need khulne ke Baad mai aur dar gaya kuyki mere pure flat me, balcony aur kitchen me wohi khushbu bikhri hui thi. Maine jitni pi rakhi thi sari utar chuki thi aur puri raat aur agle din Mai usi sapne ke bare me sochta raha. 
Agle din Office khatam hone ke Baad mera best friend mere Paas aaya aur usne bola prateek aaj mere room me baithne ka turn hai. And maine bhi kaha ha bhai Kal Raat ko ache se so ni paya. Aaj waqai mujhe drink ki bht jarurat hai. Aur raat ko takreeban 11baje sab kuch wahi hone laga jaisa maine sapne me dekha tha. Sharab ka khatam hona, city ke Ander to wine shops police ne band kar diye hoge. City ke bahar mil sakti hai. Ye sari baato ka discussion sabhi dosto ke beech hone laga. Ye sab kuch mai ek din Pehle sapne me dekh chuka tha. Yaha tak ki hum log Rockford whiskey pi rahe the. Ye bhi sapne me dekh chuka tha. Sabhi dosto ka bike nikalna, mere best friend ka jid karna ki bike wahi chalayega. Aur city ke bahar highway ke kinare, ek daru factory se black me sharab lane ki ho rahi baate. 
Maine apne dost ko kasam di ki tu kahi nahi jayega. Aur na mai kahi jauga. Wo nahi mana. Un logo ko peeni hi thi. Mere lakh mana karne ke Baad bhi wo log ni mane aur thik usi jagah un logo ka accident hua. Road ke kinare ek khade hue truck se. Over speeding ke karan. Aur uske do din Baad sugandha ne mere kaan me Pehli baar kuch baate boli. Pehli baar uski madhur awaj maine suni thi. jiske bare me mai Pehle bhag me aapko Bata chuka hu. Bht sari baate uski  sanskrit bhasha me thi jisme se ye ek sentence wo baar baar bol rahi thi. 
“Kimartha dracha_ras pibati” yani kis karan tum sharab pite ho??. 
Agar us din Mera dost meri Baat Maan leta to shayad aaj wo jinda hota. Accident maine sapne me, Sirf apna aur apne best friend ka dekha tha. Baki ke do log sahi salamat aaj bhi hai. Aur shrap kahu ya vardan guruji mai bhi sahi salamat hu sugandha ki wajah se. Is ghatna ko 7saal ho chuke hai. Aur uske Baad maine sharab pina humesha ke liye chor diya. Aaj tak hath ni lagayi aur na kabhi lagauga. 
2:- mushkil waqt me sugandha ka sath:-
Guruji pichle bhag me maine Kai baar is Baat ka jikra kiya hai. Ki mera man to sugandha ko chahta tha, lekin mere sharir ko dar lagta tha. Aap adhyatmic vyakti hai guruji aap samajh sakte hai ki. Mai kya kehna chah raha hu. 
Zindagi me jab bhi maine akela pan mehsoos kiya. Sugandha ki khushboo humesha mere sath rahi. Bhale wo mujhe dikhayi ni deti thi. Lekin mujhe ahsaas karwa deti thi. “Ki tum akele ni ho”. Aur man ki shanti ke liye itna hi kafi hota hai guruji. ki jab aap pareshan ho to koi aapke sath ho. 
Phir chahe engineering ka intrance exam ho. Ya mnc ki job pane ke liye 6 round ke interview. Jab bhi mai ghabraya. Ya pal bhar ke liye bhi mujhe aisa laga ki mujhse ni hoga. Tabhi wo khushbu ka ahsaas mujhe hua. Kabhi meri roomal se to kabhi khidkiyo se aane wali hawa se. Aur man me ek josh sa, aa jata tha. Ki mai kar sakta hu. Sugandha mere sath hai. 
Bachpan ho ya Kishore awastha. Yaha tak ki abhi bhi. Mujhe Yaad hai kai baar aisa hota tha ki mummy papa meri har jarurat ko pura ni karte the. Jaise Bachpan me mujhe gear wali cycle kharidne ka bht shok tha, to 12th class tak aate aate mujhe bike ka shok ho gaya tha. But mummy papa ne Sirf is wajah se puri school mujhe khud chodne aur lene jate the kyuki mai eklota hu. Kuch hona jaye mujhe. But mai apne dosto ki bikes dekh kar bht dukhi aur akela rehta tha. Aur har baar sugandha mere sath hoti thi. Uski khushboo mujhe us waqt aur jyada aati thi jab mai dukhi hota tha. Jaise mujhse wo Keh rahi ho. Ki koi Baat ni prateek, mai hu tumhare sath. Magar aaj mujhe is qabil sugandha ne bana diya hai ki is maya jagat ki mehgi se mehgi bike me kharid sakta hu. Lekin ab guruji ye bike ye car ye sab mithya aur mati lagta hai. Sugandha ke Kehne par hi mai apni sallery ka ek kafi bada hissa Paas ke hi ek anath aur wradh_ashram ko daan karta hu. Agar kisi anath bache ko do waqt ki roti mil sake ya aise hi kisi bujurg ko dawai mil sake jinke apne bacho ne hi unko chor diya hai. To isse jyada khushi aur kisi cheez me nahi. 
3:- Sugandha ki choti choti baato se bhi jeewan me pavitrata :-
Jeevan ko bina kisi nashe ke jina maine us vishwa sundari se sikha to wahi sabse bada dharam, “daan” dena bhi usi se sikha. Aur ek cheez aur sikhi maine saaf safai karna. Office se mujhe jab bhi chutti milti mai humesha apne hometown jata tha. Hafta ya 10din waha mummy papa ke Paas rukta tha. Aur chuttiya khatam hone ke Baad wapas apni working city aa jata tha. Kai baar maine mehsoos kiya. Ki jab mai ghar gaya tha to pura flat mera asta vyast tha. Lekin itni saaf safai, kahi dhool ya dust ka ek Kan bhi nahi hai. Jaise kisi ne roj jhadu aur pocha mere ghar me lagaya ho. Aur ek ek Saman vyvastit dhang se rakh diya ho.
Aur tabhi se maine ghar ko saaf rakhna bhi shuru kiya. Aur ghar me Pooja karna bhi shuru kiya. Agar time ni bhi hai to devi Maa aur bholenath ko kam se kam dhoop batti laga deta. Aur man me sugandha ko bol deta. Puja kar lena mai late ho raha hu. Ek bohot bada antar mujhe khud me dikhayi dene laga tha guruji Pooja path karne se. Ab mujhe itna dar sugandha se ni lagta tha. Jaisa ki maine pichle Bhaag me bataya tha ki, mera sharir kapne lagta tha. Aur mai Saas rok kar, Bajrang bali ka naap japte hue, leta rehta tha aur sugandha mere piche, pith ki taraf baith kar mere baal sehlati thi. Aur meri himmat ni hoti thi kuch bhi bolne ki. 

Ab aisa nahi tha guruji . Mai ab aram se balki puri sehjata ke sath leta rehta tha. Aur wo mere baalo me hath ferti thi. Jab tak mai so nahi jata tha. Kai baar mujhse Baat bhi karti thi. Jaise Pooja karne ka Sahi tariqa kya hai, savere kitni der uthna chahiye, kyu bramh_mahurat me hi kyu uthna chahiye. Aur usne mujhe ek shiv stotra bhi sikhaya jise maine line by line likh liya apni dairy me. Aur Use sanskrit me hi Yaad Kiya. Usko maine hindi me translate ni kiya. Sugandha ka manna hai ki is stotra se Maa aadi shakti aur bhagwan mahadev ki ek sath hi aradhna ho jati hai. Phir dono ke liye alag alag Pooja karne ki jarurat ni. Shakti aur shiv jab ek hai to pooja bhi ek hi honi chahiye bhagwan ko ardhnarishwar bataya usne. Patra ke aakhiri me mai wo stotra. Jisko mai roj ek baar padhta hu likh duga. 
 Ab mujhe wo ek ajeeb sa dar, ya apni chinta ya apne sharir ki chinta uski mojudgi me nahi hoti thi. Aur na mai sugandha ko palat kar dekhne ki koshish karta tha, kyuki mai ab chahta tha. Ki wo khud mujhe bole. is taraf mudo. Mere liye to uske mulayam hatho ka sparsh hi kafi tha. Ye Baat maine pichle Bhaag me bhi batayi thi aapko. Ki ek taraf jaha mai apne mummy papa ko bht pyaar karta hu wahi dusri taraf sugandha ko bhi ab mai bht pyaar karne laga tha. 
4:- sugandha ne jab Pehli baar mujhse kuch maga:-   
ye Baat abhi 17feb 2020 ki hi hai. Jab mera janam din tha. 16feb ko raat ko meri mummy papa aur mere sare dosto ke calls aane lage 12bajte hi. Janam din ki shub kamnaye dene ke liye. Lekin raat ke 1baj gaye the sugandha nahi aayi thi abhi tak. Aur mujhse sach puchiye to mujhe sab se jyada intezaar apne pyaar ka hi tha. Aur uske Baad mai jaise hi bistar me leta. Mujhe sugandha ke paylo ki awaj sunai deti hai. Waise to sugandha mere har janam din me mujhe wish karti thi. Mere kaan ke Paas aakar humesha mujhko kehti thi. 
“janam diwasyas koti_sha shubh kamnah”
Arth:- janam din ki koti koti shubhkamaye. 
 guruji. Mai is baar bhi yahi wait kar raha tha. Ki sugandha mujhe itne salo se apni mithi madhur awaj se. Mere kano me Phir se yahi teen shabd kahegi. Lekin kafi der tak sugandha khadi rahi bed ke kinare. Bed pe baithi bhi nahi. Mujhe thoda ajeeb laga. Kyuki mujhe aisa laga ki wo ro rahi hai, aur band awaj me hi sisak rahi hai.. Phir maine sugandha ko man me kaha ki  “sugandha tumne mujhe itna adhikar bhi ni diya hai ki mai isi waqt bistar se uth kar tumse ye puch saku ki kya pareshani hai tumko, aaj mera janamdin hai aur tum kuch bhi ni bol rahi, tum ro rahi ho?”. 

To mujhe aisa laga ki sugandha roj ki tarah bed me mere piche baithne ke bajay. Meri taraf aa rahi.,mere face ki taraf. Maine aankh band karke kaha nahi sugandha ni. Maine tumko aaj tak tumhari khushbu, tumhare hatho ke sparsh aur tumhari meethi awaj se hi tumko jana hai. Mere liye itna bht hai. Mai abhi is layak ni hu. Lekin wo Phir bhi mere chehre ke samne aati hai aur mere mastak ko usne Pehli baar chuma tha. Aur sugandha ne mujhse bht sari baate boli. Apne dil ki har ek Baat. Aur kafi time ke Baad. Maine apne sharir me Phir se wahi kapkapi aur dil ka teji se dhadkna mehsus kiya. Jo mujhe 4 ya 5saal Pehle hoti thi. Maine apni aankhe ni kholi. Band aankho me bhi mujhe aisa lag raha tha jaise kai cfl aur led bulb aur Kai tubelights meri band ankho ke samne jal rahi ho. 
Sugandha ne mere mastak aur mere gaal par hath ferte hue mujhe janam din ki badhai di. 
Dirgh_aayu aarogya mastu! Suyasah bhawtu! Vijaya bhawtu! Janam_ Dinah shubesksha! 
Arth:- aap dirghayu aur aarogya ho, aur jeewan me yash prapt kare, janam diwas pe shubhkamna, aapko har kadam pe Vijay mile.
Bus gurudev yahi do char shabd mai Yaad rakh paya. Kuki waise roj toSugandha har din mere pith ke piche baith kar Baat karti thi. To mai aram se dusri taraf let kar uski baate likh leta tha. Lekin is baar uski baate mai note ni kar paya. Kyuki wo just mere samne thi aur mai apni ankh bhi ni khol sakta tha. 
Mujhe kuch baate, kuch sanskrit ke shbd samajh me jarur aaye. Jab mujhe aise laga ki wo bol rahi thi. Ki satya bolo, Satya ko pehchano aur janam mrityu ki maya se bahar niklo. Hum na to janm lete hai aur na hi kabhi marte hai. Ye to bus ek yatra hai. Jo ek sharir se dusre sharir aur anant tak karni padti hai jab tak satya na mil jaye..Usne mere galo pe hath rakh kar kaha
Uske hatho ka wo mulayam sparsh. Meri band aankho ke safed ujale me sugandha ne mujhe dobara darshan diye. Uski aankho me aansu the. Aur meri band aankho se aansu nikalne lage, uske pyare se chehre ko rota dekh kar. Mai bhi rone laga. Sugandha ke laal hoth, badi badi aankhe, kale reshmi baalo me jaise phoolo ke itra ka bhandar chupa ho. Lekin un jheel si gehri aankho me aansu. Mai bardasht ni kar paa raha tha. Ki mera pyaar ro raha hai. Maine usi waqt sugandha ke hatho ko pakda jo ki mere galo pe the. Aur maine man me ye pratigya ki. Ki aaj se mai Sirf sach bolunga. Satya ko pane se Pehle mai satya bolna shuru karuga. Aur mere itna Kehte hi. Sugandha khush ho gayi aur Pehli baar 17feb ko maine uska hasta hua pyara chehra dekha. Jo ki kisi 1000chandrma ki chandni se bhi jyada sheetal tha. Aur uske hatho ko bhi maine band ankho se dekha. Jisme tarah tarah ke kangan, anghootiya aur phoolo se saji hui uski kalai aur ungliya thi. 
is pratigya ke Baad thode dino mujhe kuch dikkato ka samna jarur karna pada guruji kyuki corporate me clients ko bulane ke liye aur unki khusi ke liye Hume kai baar jhut bolna padta hai. Ek do baar to meri naukri jate jate bachi kyu ki maine client companies ke puchne pe sari baate sab sach sach bata di thi. 
Guruji holi jaise pavitra tyohar ka anubhav mai teesre Bhaag me aapko bataunga. Kuki abhi aisa lag raha hai ki ye patra kuch jyada hi bada ho jayega. 
Guruji ek prshn bhi puchna tha mujhko. Aapke margdharshan ki jarurat hai. 
Sugandha aur mera rista ya to mai janta hu ya to phir upar wala janta hai. Lekin is samaj me jaha shadi aur vyah karwaya hi isliye jata hai ki Santan ki prapti ho aur vansh ko aage badhane ke liye putra paida ho. Aise Me mai kaise ek taraf sugandha ka bhi sath du? Aur mere mummy papa aur unse juda hua samaj. Ka kaise sath du? 
Guruji itni Baat to mai samajh chuka hu. Ki agar kal ko mere man se kam krodh lobh moh maya sare tam guni aur rajo guni vikar agar sugandha ne hata bhi diye to mai is kabil to kabhi ni ban sakta ki sugandha ko patni roop me sweekar kar. Mai uske sath sambhog ya kaam krida kar putra utpann kar Saku. Kam se kam is manav deh me reh kar to nahi.
Guruji ek chote se zero wat ke bulb ka milan lakho wat ke  transformer se kaise ho sakta hai? . Wo alag Baat Hai ki hum dono ek dusre se pyaar karte hai aur hum dono ek dusre ki izzat bhi karte hai. Bachpan se hi kabhi maine kisi ladki ko ankh utha kar kabhi ni dekha. Kyuki is duniya me aisi koi bhi ladki hai hi nahi.  jo sugandha se khubsurat ho. Lekin humare pyaar ki pavitra_ta. Ye maya moh me uljhe hue log kabhi ni samajh payenge. Baat Baat par Maa Baap tak se jhoot bolne wale log kya samjhenge ek sadharan manushya aur ek paralokik shakti ke prem ko. 
Sugandha se maine is bare me bhi Baat karne ki koshish ki thi. Lekin uska humesha ka ek jawab devi ma jab chahegi tab sab ho jayega. Ye Baat abhi ek hafte Pehle ki hi hai. Mujhe bhi gussa aa gaya. Ki baar baar devi maa jab chahegi tab, maine gusse me kaha milegi kaha ye devi Maa tumhari. Sugandha ne kaha devi Maa se milne ke liye Pehle tyaar to ho jao. Maine Phir pucha batao mujhe kya kya samgri lagegi, ya Phir kisko apna guru banau. Lekin sugandha ke jawab ne meri aankhe khol di gurudev. Usne kaha ek chota bacha jab Maa ko bulane ke liye rota hai to kya rone se Pehle koi samgri kharidta hai. Jis din wo chote bache jaisi karuna se ro ro kar Maa ko pukaroge wo samne khadi milegi. 
Sugandha ke Kehne pe hi har kaam kar raha hu gurudev jis raste wo mujhe le ja rahi hai. Bus chalta ja raha hu. Yaha tak ki aaj is lockdown me bhi mai logo ko din bhar khana khilata hu, police walo se lekar meri gali ke sare garib aur yaha tak ki bejuban janwaro ko bhi. Kyuki sugandha ko pasand ni hai ki mai bed pe lete lete, khidki darwaja band karke Corona virus aur mrytu se dar ke. Ghar me pada rahu hu aur youtube ya Netflix pe movies aur webseries dekh kar apne man ko yam niyam’o ke virudh le jau. Aisi bht se niyam bhi hai. Jinka mai palan  dheere-dheere karna sikh raha hu. Aur mujhe kya fayede mil rahe hai unke bare me bhi agle patra me jarur bataunga. 
Guruji aapko naman karta hu aur holi aur deewali jaise kuch bachapan se lekar aaj tak ke festivals ke anubhav mai agle patra me bataunga. 
Akhiri me wo jo shiv stotra mantra jo sugandha ne mujhe sikhaya tha ye Keh kar ki shiv aur shakti ek hai. 

चाम्बेये गौरार्थ शरीराकायैक

र्पूर गौरार्थ शरीरकाय

 तम्मिल्लकायै च जटाधराय 

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

कस्तूरिका कुंकुम चर्चितायै 

चितारजः  पुंज विचर्चिताय

कृतस्मारायै विकृतस्मराय

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

जणत क्वणत  कंगण नूपुरायै

पादाप्ज राजत पणी नूपुराय .

हेमांगदायै  च पुजंगदाय 

नमः शिवायै च  नमः शिवाय

विशाल नीलोत्पल  लोचनायै 

विकासी पंकेरुह लोचनाय .

समेक्षणायै विशामेक्षनाय

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

मंदार माला  कलितालकायै

कपालमालंगित सुन्दराय

दियाम्बरायै च दिगम्बराय 

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

अम्बोधर -श्यामल  कुंतालायै

तडित्प्रभा  ताम्ब्र जटाधराय 

निरीश्वराय निखिलेश्वराय 

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

प्रपंच  सृष्टयुन्मुख  लास्य्कायै

समस्त  संहारक  तांडवाय.

जगज्जनन्यै जग देहपितरे

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

प्रदीप्त  रत्नोज्ज्वल कंठलायै

स्पुरन  महापन्नग  भूषणाय

शिवान  वितायै च  शिवान विधाय 

नमः शिवायै च  नमः शिवाय .

एतत्पट  तष्ठ्क मिष्ट्तम यो 

भक्त्या स  मान्यो पुवी दीर्घजीवी .

प्राप्नोति सौभाग्य मनंतकालम

भूयात सदा तस्य  समस्त सिद्धिः

Mata rani sabka Kalyan kare

Mata rani ki jai ho

खुशबू वाली सुगंधा का सच्चा अनुभव भाग 3

Exit mobile version